main jab kabhi do ghadi ghaur se aaina dekhta hun to mazi ke uljhe hue roz o shab ki shanasa lakiron mein dhundli tasawir mahaul se be-khabar bolti hain ki jaise kisi ajnabi shakhs ki zindagi ki hasin saaton dil-ruba hasraton aur umangon ke koh-e-nida ke tilismat-e-khufta ke dar kholti hain mein hairan sa der tak sochta hun main apne sarapa ke mitte nishanat ko haal ke zaichon se juda jaanta hun mujhe waqt ki tez raftar se jism ki haar se khauf aata hai phir bhi ghadi do ghadi ke liye aaina dekhta hun