safed kabutaron se aaj sara aakash khali hai dhup dari hui fakhta si lagti hai munderon pe baithi hui zard hai kanp kanp uthti hai hawa aadmi ki tarah curfew se bhare hue shahr ki sadkon pe ghodon ki wahshi tapen aag udati hain makan jalte hain mere tumhaare indar hamare dhuan dhuan sa kuchh rah rah uthta hai daur mein aur pas mein bhi zoron ke dhamake hote hain goliyan tabad-tod sansanati hain haddiyon mein utri jati hain din lahu khak mein lipta hua guzarta hai sham bhi lahuluhan chhipkili ki tarah sahmi hui chup-chap udas udas dhire se nadi mein dubti hai phir siyah hote hue pedon pe dher sare gidh apni puri taqat se apne par phadphadate hain sannata kaenat mein aur bhi gahraata hai kuchh dhuan dhuan sa andar andar mere tumhaare or bhi badh jata hai