main apni surat ko aaine mein hun dekh kar aaj sakht hairan wo khub-surat hiran si aankhen kahan gain kya hua hai un ko wahan to ab do gadhe hain baqi muhib sunsan aur viran gulab se surkh hont mere khajil the yaqut-o-lal jin se jama hua un pe dekhti hun bahut se logon ka khun-e-nahaq ye mera pila sa zard chehra nahin hai ek khun ki bund jis mein ye murdani dekh kar mujhe to bada hi khauf aa raha hai khud se main sochti hun ye bholi duniya hai kitni masum aur nadan ki phir bhi mujh ko samajh rahi hai hasin aur naznin ab tak magar nahin main to waqai hun bahut hasin aur khub-surat ye aaina jhut bolta hai darogh-go hai main tod dungi ise abhi phir kabhi na dekhungi is mein chehra sakhi wo aaina mujh ko la de jo mujh ko ek bar phir dikha de meri wo pahli si pyari surat