ek wijdan ke bargad ke ghane ped tale ek pal mund ke aankhen jo sameta khud ko daman-e-waqt ki manind wo pal phail gaya jism aur jaan zaman aur makan ek hue khud chamakne laga tarik hijab sat rangon mein wo tariki bati aur un rangon ke dariyaon se zohra nahid surayya ke mazamir ka naghma utha be-karan nur mein ghul-mil gae saton dariya tezi aisi ki hazaron khurshid thandak aisi ki hazaron mahtab be-karan nur ki tah mein jab utar kar khulin meri aankhen tere aaghosh mein rakhe hue mein sar nazar aaya khud ko be-karan nur teri aankhon mein paya main ne aur is nur ki tah mein khud ko