subh so kar jo utho chae piyo aur phir akhbar padho amn ki safha-e-awwal pe likhi hain baaten chand lafzon ki hasin saughaten qatl hona tha jinhen wo to sabhi qatl hue aur jo bach gae jo zinda rahe qismat se ek din un ko bhi marna hoga isi raste se guzarna hoga din mein masruf raho pet ki aag bujhane ke liye kaam daftar mein karo sar ko filon mein khapao apne afsar se daro sham ka waqt kisi dost ke sath chae khane mein bitao tabsira gardish-e-dauran pe karo jaeza waqt ka lo aur katha apni sunao raat ghar lauto to jine key duaen mango raat kya jaaniye kya dikhlae tum jo bach jao to ghar jal jae