ye aaine hain apne zarf ki manind hi to aks dete hain muhaddab aaine ek rakshas ka rup dene mein muaqqar aaine bauna bana dete hain mujh ko sada aaine bechaare khud hairan hain bhala wo kya bata sakte hain kya hun main dil ke aaine mein dhundhta hun khud ko kab se