jazbaat ke tufan mein ye zabt-e-fughan kab tak majbur ye dil kab tak marub zaban kab tak ye sud ke parde mein aahang-e-ziyan kab tak alfaz ke phandon mein ejaz-e-bayan kab tak aazad hawaon mein par tol nahin sakte aghyar ke hathon mein umr-e-guzaran kab tak uth jazba-e-khuddari ta-chand ziyan-kari uth josh-e-hamiyyat uth ye khwab-e-giran kab tak ehsas ki basti mein jab aag lagai hai ai soz-e-darun aakhir nikle na dhuan kab tak maqsad teri hasti ka poshida hai koshish mein ye nafs-kushi ta-kai ye khwab-e-jinan kab tak jina hai to jine ke andaz bhi paida kar kaam aaenge aaba ke ye nam-o-nishan kab tak kah dalin wo sab aakhir kahne ki jo thin baaten khamosh 'bashir' aakhir rahti ye zaban kab tak