aaine

aur phir
raat ki bisat ulat gai
musafiron ne ek sal ke
purane chehre phenk kar
nae laga liye
kitne khush-nasib hain jin ke pas
koi aaina nahin
jin ke pas
waqt sirf waqt hai
koi silsila nahin
bhala nahin bura nahin
kitne khush-nasib hain
ek sal mein
sab badal gae
zamin ki kokh tukhm-reziyon ki muntazir hai
pichhli fasl kat gai
raat ki bisat ulat gai
'salim' ek azal ki chikh
raat ki bisat ulat gai
chalo samet len
jhilmilate aks par nishan shabahaten
bund ashk ki
chashm-e-mehrban se bund ek ashk ki
warna roz-e-hashr
apne apne marqadon se
kis tarah uthae jaenge
kaisa saneha apne aap se
kis qadar alag hain hum
kaisa saneha hai ye
kaisa saneha hai ye
sard raat
khidkiyon mein sard tirgi
tirgi ke aaine tale
ek faza-e-la-makan
amiq kis qadar amiq
basit kis qadar basit
meri dast mein se dur
meri ruh par muhit
shajar shajar mein dasht-o-koh mein rawan-dawan
hamare jism ka lahu
ek sail
sail-e-be-karan
musafiron ki bhid se alag
mujh se be-khabar
tum se be-niyaz
hamare aks-e-be-hijab
daur daur pur-fishan
un ki apni zindagi
un ke khwab
ek kiran ki chhut se
sabz surkh nilgun banafshai
kitne rang kaise kaise naqsh-e-na-tamam
jumbish-e-nigah se bane
jumbish-e-nigah se pighal gae
This is a great simple shayari on dosti. True lovers of madine ka musafir shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore fashion shayari in english. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close