kar-farma phir mera zauq-e-ghazal-khwani hai aaj phir nafas ka saz-e-garm-e-shoala-afshani hai aaj phir nigah-e-shauq ki garmi hai aur ru-e-nigar phir araq-alud ek kafir ki peshani hai aaj phir mere lab par qaside hain lab-o-rukhsar ke phir kisi chehre pe tabani si tabani hai aaj husn is darja nashat-e-husn mein duba hua ankhdiyan be-khud shamim-e-zulf diwani hai aaj larzish-e-lab mein sharab-o-sher ka tufan hai jumbish-e-mizhgan mein afsun-e-ghazal-khwani hai aaj wo nafas ki zamzama-sanji nazar ki guftugu sina-e-masum mein ik-tarfa tughyani hai aaj yan ba-in aalim ghurur-e-yusufiyat bhi nahin wan zulekhai ba-azm-e-chaak-damani hai aaj wan ishaare hain bahak jaana hi aish-e-hosh hai hosh mein rahna yaqinan sakht nadani hai aaj kashmakash si kashmakash mein hai mazaq-e-ashiqi kaamran si kaamran har sai-e-imkani hai aaj husn ke chehre pe hai nur-e-sadaqat ki damak ishq ke sar par kulah-e-fakhr-e-insani hai aaj shauq se mauqa-shanasi ki tawaqqo bhi ghalat main ne un ki shakl bhi mushkil se pahchani hai aaj