doston mein sab se achchha dost hai achchhi kitab aa bata dun kaisi hoti hai 'ata' achchhi kitab har qadam par nek-o-bad ka farq batlati hai ye har qadam ko sidhi-sachchi rah dikhlati hai ye din-o-duniya ka hamesha hum ko deti hai sabaq raushni hi raushni deta hai is ka har waraq sikhti hai is se duniya kaamrani ka hunar ye ata karti hai sab ko zindagani ka hunar sahl ho jati hain is se waqt ki barikiyan dur karti hai ye sab ke zehn ki tarikiyan zindagi ke imtihan mein hausla deti hai ye chahne walon ko uncha martaba deti hai ye is ki sohbat se farozan aaj sham-e-e'tibar is ki ulfat se darakhshan aaj husn-e-ikhtiyar zindagi pati hai is se aap khud apni khabar zindagi pati hai is se ek maqam-e-moatabar bakhshti hai ye basarat aur basirat bhi hamein taki dikhlai pade shai ki haqiqat bhi hamein ye hamein batlati hai hum kya hain aur duniya hai kya ye hamein batlati hai rab kaun hai uqba hai kya is ke daman mein hain pinhan har zamane ke ulum is ke aangan mein hain raqsan chand suraj aur nujum is ke jalwe se huwaida marifat ki daulaten nur se is ke hua insan ka irfan hamein is ke dam se hum pe wazeh uqda-e-marg-o-hayat is ke dam se hum pe raushan hai jahan-e-kaenat is qadar jama mukammal hain 'ata' is ki sifat kab hai mumkin pesh karna ai 'ata' is ki sifat