aaj chali hai hawa muddaton ke baad hayat se talluq tha jis ka har wo shai taras gai ki gosh ko tanaffus ki sargam nasib ho sunai de sarsaraati si ek aawaz koi sargoshi koi dastak ban kar aati jati jo mere qarib ho dast-e-mazi se jod apne bazu yaad-e-ayyam ke aaghosh mein gum-gashta dida-e-tar chal pada hai ek talash mein ya to aankhon ki nami se chhutkara mile ya phir dil ki umiden bar aaen lekin ye kya ki is na-murad khoj mein aankhen dar-ba-dar bhatakti hui khali hath laut kar thaki-haari ghar aaen tabhi chalne lagi hawa mere bagh mein darakhton ke patte larazne lage gulon ke hasin labon par tabassum uga aur ek nannhi si lau jagi charagh mein khuli hawa mein sans lene ki khwahish dil-e-na-saz mein arman jaga gai ghutan se tang aa kar main ne phir kholi jo zanjir-e-dar kambakht hawa ki sozish chashm-e-nam sukha gai aur charaghon par raqs karte shararon ko bujha gai