sham sham jaisi thi raston pe halchal thi kaam karne wale sab apna farz ada kar ke apne apne maidan se kuchh thake to kuchh haare apne ghar ko jate the bhid thi dukanon par ghar ko lautne wale agli subh ki khatir ruk ke mal lete the har kisi ko jaldi thi aur sham dhalti thi ek hum the aawara kal na tha koi sauda is liye sadak par hum dhire dhire badhte the bhagte hue logon par nigah karte the aur un pe hanste the apni mastiyon mein gum be-niyaz duniya se aage badh rahe the hum muskura rahe the hum lekin ek manzil par hum thithak gae ek dam ek ajnabi ladki hum pe ek nazar kar ke khub khub hansti thi munh ko pher leti thi phir palat ke wo hum ko dekhti thi hansti thi jaane apne jaison par us ki khilkhilahat ne kaun sa asar dala kis ne jaane kya socha kis ne jaane kya samjha hai khabar mujhe apni meri mastiyan sari sham ke dhundalke mein dur hoti jati thin khud pe sharm aati thi aur wo shokh si ladki hum pe hansti jati thi ab meri nigahon ko apna dhyan aaya tha ajnabi si ladki ne dil bahut jalaya tha ab main zat ka apni khud tawaf karta tha apne aks ko apne aaine mein takta tha ab niyaz-mandi thi meri be-niyazi mein ab wo ajnabi ladki dusre ek aawara par nigah karti thi us ko dekh kar phir wo be-panah hansti thi wo ajib ladki thi wo ajib ladki thi