aaj ke munafiq

dilon mein kufr labon par himayat-e-islam
chhuri baghal mein dabae hue hain munh par ram

mukalima hai junun se to aql se bhi kalam
labon pe nara-e-tahsin zehn mein dushnam

ye khwahishon ke pujari ye maslahat ke ghulam
fareb-o-makr ke qisse munafiqat ke nam

kahin ba-nam-e-khushamad ye bik gae be-dam
kahin pe boli thi unchi to ho gae nilam

bahisht mein bhi talab hur ka mile inam
zamin par bhi muraat ke lutaen jam

har ek sada pe hon hazir har ek ke khuddam
gharaz ke bande mafadat ke asir-e-dawam

ye bhejte hain faqat aaj ke liye paigham
jo fikr-e-farda se kuchh hai inhen to bas ye kaam

ho khair-o-shar ki ladai ka jaane kya anjam
na-jaane kis ko mile jit kaun ho nakaam

bani rahe jo sabhi se bana rahega kaam
yazid se bhi talluq husain ko bhi salam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close