aaj ki duniya

duniya ko inqalab ki yaad aa rahi hai aaj
tarikh apne aap ko dohra rahi hai aaj

wo sar uthae mauj-e-fana aa rahi hai aaj
mauj-e-hayat maut se takra rahi hai aaj

kanon mein zalzalon ki dhamak aa rahi hai aaj
har chiz kaenat ki tharra rahi hai aaj

jhapka rahi hai der se aankhen hawa-e-dahr
kaun-o-makan ko nind si kuchh aa rahi hai aaj

har lafz ke maani-o-matlab badal chuke
har baat aur baat hui ja rahi hai aaj

yaksar jahan-e-husn bhi badla hua sa hai
duniya-e-ishq aur nazar aa rahi hai aaj

har har shikast-e-saz mein hai lahn-e-sarmadi
ya zindagi ke git ajal ga rahi hai aaj

ye daman-e-ajal hai ki tahrik-e-ghaib hai
kya shai hawa-e-dahr ko sanka rahi hai aaj

abna-e-dahr lete hain yun sans garm-o-tez
jine mein jaise der hui ja rahi hai aaj

aflak ki jabin bhi shikan-dar-shikan si hai
tyori zamin ki bhi chadhi ja rahi hai aaj

phir chhedti hai maut hayat-e-fasurda ko
phir aatish-e-khamosh ko uksa rahi hai aaj

barham sa kuchh mizaj-e-anasir hai in dinon
aur kuchh tabiat apni bhi ghabra rahi hai aaj

ek mauj-e-dud sine mein larzan hai is tarah
nagin si jaise shishe mein lahra rahi hai aaj

bite jugon ki chhanw hai imroz par 'firaq'
har chiz ek fasana hui ja rahi hai aaj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close