na chhed saz-e-kuhan mehrban hua so hua sitam jo kuchh bhi tah-e-asman hua so hua zamin-o-charkh ke sab hadse purane hain abas hai un ka dobara bayan hua so hua kahan shurua hui rudad khatm hogi kahan tawil hai matn-e-dastan hua so hua guman-o-wahm pe hai qasr-e-zist ki buniyaad hawa ke dosh pe baadal rawan hua so hua fana ke baad baqa ka hai jaan-faza muzhda atal hai aadat-e-daur-e-zaman hua so hua nae makan ki tamir-e-nau ki fikr karo tabah bijliyon se khanuman hua so hua suno bahaar se mansuba-e-chaman-bandi riyaz-e-dahr kharab-e-khizan hua so hua wo dekho qafile daulat-sara-e-hasti ke rawana su-e-adam karwan hua so hua