raat aate hi mujhe khud se bhi dar lagta hai ped chalte hain hawaon se sada aati hai meri tanhai ki khamosh faza gati hai raushni jagne lagti hai siyah-khane mein jaan pad jati hai bhule hue afsane mein aane lagti hain kai ajnabi mahkaren si gunjne lagti hain pazeb ki jhankaren si hath mein waqt ke hota hai masarrat ka rabab jagmagate hain andheron mein hazaron mahtab baat hone nahin pati ki bichhad jati ho meri taqdir ki manind bigad jati ho aaj ki raat bhi shayad yahi aalam hoga! chand suraj ki tarah lamhe nikal aaenge dekhte dekhte din raat badal jaenge wahi palken wahi zulfen wahi surat hogi mere ghar mein meri mehman mohabbat hogi! raat aate hi mujhe khud se bhi dar lagta hai