sandalin jism ki khushbu se mahakti hui raat mujh se kahti hai yahin aaj basera kar le gar teri nind ujalon ki parastar nahin apne ehsas pe zulfon ka andhera kar le main ki din bhar ki chaka-chaund se uktaya hua kisi ghunche ki tarah dhup mein kumhlaya hua ek nai chhanw mein sustane ko aa baitha hun gardish-e-dahr ke aalam se ghabraya hua sochta hun ki yahin aaj basera kar lun subh ke sath kadi dhup khadi hai sar par kyun na is abr ko kuchh aur ghanera kar lun jaane ye raat akele mein kate ya na kate kyun na kuchh der shabistan mein andhera kar lun lekin is raat ki ye baat na badh jae kahin tujh se mil kar ye mere dil ko laga hai dhadka rakh ho jaunga main subh se pahle pahle khul ke sine mein jo ehsas ka shoala bhadka