aaj phir mujh se mera kamra mukhatib hai daraden wo kabhi chhat ki dikhata hai kabhi diwar mein padte shagafon ko nishan jhulse hue rangon ka mujh ko mubtila kar deta hai haibat mein makdi ke subuk jale hawa ke dosh par lahrane lagte hain zawal-e-zindagi ka wo pata bhi dene lagte hain zamin kamre ki bosida kahani jab sunati hai kiwadon se sada uthti hai rone aur sisakne ki kabhi aahen si bharne ki unhin lamhon ke sae mein magar kuchh jhankti angur ki belen dariche se tabassum ka shagufta aks dikhlati hain aankhon ko