wapsi par raat ke kale siyah jhule mein lete us ne socha tha ki wo bhi dusron ki tarah hansti gungunati zindagi se uns ki dahliz par ja kar milega puchhega us se kiran suraj ki kaise chumti hai phul ko aur jagmaga deti hai mitti dhul ko thandi hawa kya hai ghata kya hai parinde chahchahate kis ada se hain magar kuchh bhi hua aisa nahin wo aaj bhi viran khidki se uda kar khwab ki sab rakh jalti dhup ko sar par samete andhe bahre gunge ehsasat se mamlu safar par gamzan phir ho gaya hai aur us ki soch bilkul banjh si lagne lagi hai