aaj tanhai ne thoda sa dilasa jo diya kitne ruthe hue sathi mujhe yaad aae hain mausam-e-wasl ki kirnon ka wo amboh rawan jis ke hamrah kisi zohra-jabin ki doli aise utri thi ki jaise koi aayat utre hijr ki sham ke bikhre hue kajal ki lakir jis ne aankhon ke gulabon pe shafaq chhidki thi jaise khushbu kisi jangal mein barahna thahre khilqat-e-shahr ki jaanib se malamat ka azab jis ne akasr mujhe hone ka yaqin bakhsha tha dast-e-adaen wo khinchti hui tohmat ki kaman barish-e-sang mein khulti hui tiron ki dukan mehrban dost rifaqat ka bharam rakhte hue ajnabi log dil-o-jaan mein qadam rakhte hue aaj tanhai ne thoda sa dilasa jo diya kitne ruthe hue sathi mujhe yaad aae hain ab na pindar-e-wafa hai na mohabbat ki jaza dast-e-ada ki kashish hai na rafiqon ki saza takhta-e-dar na mansab na adalat ki khalish ab to ek chikh si honton mein dabi rahti hai ras aaega kise dasht-e-bala mere baad kaun mangega ujadne ki dua mere baad aaj tanhai ne thoda sa dilasa jo diya