mera ji chahta hai nazm likhun us ke liye us ki zulfon ke liye us ki aankhon ke liye us ke andaz-e-takallum ke liye jo meri ruh ki taskin ka saman bana us ke har zawiya-e-jism ki khatir jo mere jism ki tazin ki pahchan bana main magar sochta hun jo sarapa hai ghazal us ke liye kya likkhun jo samundar hai use kis tarah dariya likkhun aur dariya ko jo likkhun bhi to qatra likhun aur qatre ko sametun bhi to nuqta likhun main ajab soch mein hun us ke liye kya likhun