main bahut dur tha tanha tha mere dil ki tasalli ke liye ham-nawa mere mujhe aaj tera khat jo mila dard-bhari baat mili jazba-e-ikhlas mila mere mahbub wafaon ka jahan-tab-o-karam teri masum mohabbat ke taqazon mein rahe dil ke naghmon pe rahe pyar ke giton pe rahe hai khushi mujh ko mujhe husn-e-wafadar mila ai saba jhum ke chal tujh ko chaman-zar mila hai ye aaghaz-e-safar hai ye tamhid-e-wafa dur hai takmil is ki rah dushwar hai mohtat chalen hadse aaen bhi to azmat-e-ulfat ke liye barha gir ke bhi hum uth ke chalen taki haalat ke aage hamein jhukna na pade kisi arman ko sine mein sisakna na pade dil mein jo pyar ke jazbaat hain aabaad rahen mere is khat ke ye alfaz tujhe yaad rahen