gae zamane ke raste par pahad suraj zamin dariya nuqush-e-pa nam-e-zat chehra main apne chehre se munharif hun gae zamane ke raste par saza ki rut ke tawil din ka khatir wirsa mera badan hai mera lahu hai main apne wirse se dast-kash hun ye aashna subh ka sitara ki jis ki aagahiyon ka nasur mere sine mein jal raha hai main us sitare ki samt ru-dar-qaza khada hun main apne baatin ki ot mein hun ye khisht saat ki jis ki baalin se jism aadha nikal ke mujh ko bula raha hai use ye kahna lahu ka hathiyar kund nikla murajat ki dua na mange use ye kahna ki tera beta najat ki aarzu mein us manzil-e-dua se guzar gaya hai jahan tere ashk be-jaza the jahan teri qabr be-nishan hai use ye kahna saza ki rut ke tawil din mein murajat ki dua na mange