meri ammi kahti hain mera beta mujh sa hai abbu kahte hain ki main bilkul un hi jaisa hun koi mujh ko batlae thoda sa ye samjhae kya main ammi jaisa hun ya main abbu jaisa hun abbu itne lambe hain aur main qad mein chhota hun ammi meri dubli si main to thoda mota hun abbu sa na ammi sa aakhir main kis jaisa hun kya main ammi jaisa hun ya main abbu jaisa hun abbu thode ganje hain ammi ki lambi choti mera sar ganja bhi nahin na is pe lambi choti donon jaise baal nahin phir main dikhta kaisa hun kya main ammi jaisa hun ya main abbu jaisa hun abbu ghussa karte hain mujh ko sahna padta hai ammi dant pilaen to chup hi rahna padta hai chup main rahta hun kyunki achchhe bachchon jaisa hun kya main ammi jaisa hun ya main abbu jaisa hun ammi jab khush hoti hain kahti hain mera chanda abbu kahte hain ki main ek sitare jaisa hun kya main chanda jaisa hun ya main tare jaisa hun kya main ammi jaisa hun ya main abbu jaisa hun abbu jab ghar aate hain pani le kar aata hun ammi ko sari chizen la la kar pakdata hun donon hi ke kaamon mein thodi madad karaata hun bade bade paudon ke bich nanhe phulon jaisa hun han main samajh gaya khud hi aakhir main kis jaisa hun kuchh kuchh ammi jaisa hun kuchh kuchh abbu jaisa hun apne ghar ki khushbu hun main to donon jaisa hun