mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the wo itne khubsurat saf suthre nikhre nikhre pyare pyare the ki jab bhi muskuraate the to un ke motiyon se dant jhilmil jhilmilate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the gali mein khelte bachchon se khud ja kar mila karte wo un se khelte the god mein lete hansate the wo un ko gudgudate the kamar par lad kar apni sawari bhi karaate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the wo kahte the ki bachche phul hain jugnu hain khushbu hain kabhi na marte un ko wo narmi aur mohabbat se sikhate the dua dete the aur jo kuchh sikhate the wo khud kar ke dikhate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the wo jab bahar se aate unt par hote ya ghode par to apne raste mein khelte bachchon ke khud hi pas jate the wo sab ko bari bari apne ghode par bithate the unhen jhula dilate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the wo jab bhi dekhte bachchon ke munh aur hath maile hain to un ko god main le kar wo un ka munh dhulate the wo un ko chumte the aur pas apne bithate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the wo masjid ho ya un ka ghar koi khane ki chiz aati to bachchon se shurua karte unhen wo sab se pahle de ke auron ko khilate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the mohammad ki tarah main bhi hamesha muskuraunga main jab jannat mein un se khud milunga ye bataunga mujhe un se mohabbat hai main un se pyar karta hun ki jab main chhota bachcha tha to un ko sochta tha yaad karta muskuraata tha ki tab har raat ko sone se kuchh pahle mujhe abbu batate the mohammad muskuraate the hamesha muskuraate the