han hawa bhi gulabi hai ab aur mausam bhi kuchh thaharne sa laga hai dhundalke bhi kuchh aur gahra gae hain kitabon ke auraq majruh hone lage hain lamp ki raushni tez talwar hai os mein bhigti raat aur umr mein mujh se duna bada radio chhipkali ka wo joda nikal aaya taswir ke pichhe apne makan se raat kat kat ke girne lagi aasman se phir meri samt badhne laga tere masum khwabon ka dast-e-talab han hawa bhi gulabi hai ab