dayar-e-shab hai ki ek ped kale patton ka ki jis ke sae tale subh se bhatakte badan dukhon ki chadaron mein khwab bo ke soe hain wo khwab jin ki tabiron pe dastaras hi nahin wo khwab jo ki faqat siyahiyon mein palte hain wo khwab jo ki har ek subh-o-sham sath chalen wo khwab jo ki har ek subh-o-sham sath rahen mere wo khwab kabhi jhilmilate aansu hain kabhi wo mahz siyah raston ke jugnu hain magar ye khwab bhi na hon to zindagi kya hai