mere honton pe us ke aakhiri bose ki lazzat sabt hai wo us ka aakhiri bosa jo mustaqbil ke har ek khauf se aazad ek raushan sitara tha guzarti raat ke nange badan par til ki surat qaem-o-daem hamesha jagne wala sitara main jise is aag barsate hue suraj ke aage jagmagata dekh sakta hun wo us ka aakhiri bosa jo is nafrat-bhari duniya mein ek khushbu ka jhonka tha bikharti pattiyon mein mausam-e-gul ke ishaare ki tarah ek dolti khushbu ka jhonka main jise is habs ke kale qafas ki tiliyon se muskuraata dekh sakta hun wo us ka aakhiri bosa jo in marti hui sadiyon mein ek be-ant lamha tha talatum mein kisi sahil ki pahli did sa anmol aur be-ant lamha mein jise ashkon ki is diwar mein rakhne banata dekh sakta hun mere honton pe us ke aakhiri bose ki lazzat sabt hai wo us ka aakhiri bosa jo main apne badan mein sans-surat aata jata dekh sakta hun lahu ki khamushi mein sarsaraata dekh sakta hun