ye uruj-e-daulat-e-qaisari ye shikoh-e-taj-e-sikandari ki yahan to khun-e-gharib se hai tapish mein nabz-e-tawangari wahi khwajgi wahi khusrawi wahi rang-o-nasl ki bartari yahi hai tamaddun-e-maghribi koi mujh se sun le khari khari jo hai tarz-e-baada-kashan yahi jo hai mai-kade ka saman yahi khum-o-shisha mein mai-e-lala-gun yunhi sad rahegi dhari dhari ye zamana kaisa badal gaya na wo walwale na wo hausle kisi waqt the jo sanam-shikan wo hain aaj waqf-e-sanam-giri mere dil pe barq si gir padi ye kaha jo murgh-e-asir ne mere aashiyane ki shakh bhi kabhi thi chaman mein hari-bhari wahi aah asl mein aah hai wahi nala asl mein nala hai ki idhar jo dil se nikal pade to udhar falak mein ho tharthari ye sitam-zarifi-e-ahd-e-nau bhi hai 'najmi' kitni ajib si ki jo gumrahi mein hai mubtala hai usi ko dawa-e-rahbari