tumhaari mohabbat ab pahle se zyaada insaf chahti hai subh barish ho rahi thi jo tumhein udas kar deti hai is manzar ko la-zawal banne ka haq tha is khidki ko sabze ki taraf kholte hue tumhein ek muhasare mein aae dil ki yaad nahin aai ek gum-nam pul par tum ne apne aap se mazbut lahje mein kaha mujhe akele rahna hai mohabbat ko tum ne hairat-zada kar dene wali khush-qismati nahin samjha meri qismat jahaz-rani ke kar-khane mein nahin bani phir bhi main ne samundar ke fasle tai kiye pur-asrar taur par khud ko zinda rakkha aur be-rahmi se shairi ki mere pas ek mohabbat karne wale ki tamam khamiyan aur aakhiri dalil hai