ye tajridi khakon ki taswir-gah hai mera munh chidane ko diwar-o-dar par kai maskh paikar tange hain mujhe ghurte hain daraate hain mujh ko main un sidhi-ulti lakiron ke dam-e-riya mein ulajh gaya hun bil-akhir fusun-e-riya tutta hai nigah ek taswir ke chaukhate par lagi chit par aa kar ruki hai wahan us ki qimat likhi hai jise dekh kar main phir us paikar-e-maskh ko dekhta hun jahan ek bhayanak dahan hai jo bad-rang mathe par phaila hua hai sada aa rahi hai ye bazar hai misr ka is mein mear ki koi qimat nahin hai yahan ek anti pe yusuf se paighambar bik chuke hain yahan balki qimat hi mear thahre