pandrah roz alalat ke, aise guzre jin mein baham rabta na tha phail gaya ek tanha din tab dusre tanha din se mila dhire dhire int pe int jami mere chaaron taraf diwar bani pandrah roz ke baad kahin ye zindan tuta wapas lauta apni duniya mein sab kuchh waise hi pada hai jaise chhod gaya tha mez usi tarah tirchhi rakkhi hai rack se ek kitab nikali thi yunhi khuli padi hai dhup utarti dhup meri almari ke aadhe pat par ruki hui hai ab wo yahin se wapas ho jaegi jaise us ki haden hamesha se muqarrar hain jaise mere hone na hone ka koi farq nahin khidki se phir wahi hawaen laut aain hain mere sine mein jo sans ki surat tair chuki hain bite pandrah dinon mein shayad wo ajdad ki taskin ka saman bani hon wo khush hon mere sine ke bhatte se un ka tanaffus chalta hai mere zariye wo is duniya mein ab bhi jari aur sari hain lekin ab to un ka shajar dur dur tak phail gaya hai un ke jari-sari rahne ka ehsas mere hone na hone ka paband nahin main jo nahin tha sab kuchh waise hi ruka pada hai bed se ek adhura khat ab bhi jhank raha hai ye khat main ne tum ko likkha tha kamre ke goshe mein dubka sannata mera hamesha ka hamraaz wahi sannata laut aaya hai sargoshi mein mujh se kahta hai tum is khat se umr mein pandrah roz bade ho us din wo sari baaten kitni sachchi thin! wo sachchai atal hai wahin khadi hai meri sari nazmon ki manind jo meri biti sanson ka katba hain zinda hain painda hain mere hone na hone ki paband nahin
This is a great adhura hu shayari. True lovers of maa behan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore alia bhatt shayari. Please share if you liked this!!!