ye sote-jagte lamhat mujhe ab haalat-e-ehsas mein rahne nahin dete har ek pal bojh lagta hai ye jism apna mujh tanhaiyon ke har safar se khauf aata hai mujhe ye chandni bhi ab bahut achchhi nahin lagti kisi chehre pe wo surkhi shafaq jaisi nahin milti mujhe masum bachchon ka humakna aur uchhalna kudna kilkariyan lena bhi sab be-kaif lagta hai ki ab ek dusre ke gham mein bhi aansu bahana bhul baithe hain ki ab to sirf barudi dhamakon atomi khatron ki baaton mein bahut saman-e-sarshaari hai kyun aakhir ye kis manzil ki jaanib gamzan hain sab