main sal-ha-sal se ek chhoti si poshida aarzu ka amin hun mera ek mukhtasar sa khubsurat lakdi ka makan aangan mein dana chugti hui murghiyan kuchh paltu jaanwar gaen bhainsen bakriyan aur chaaron-samt sabz rang mein lipte hue khet hi khet mithe pani se labrez gahre kunen aur unhin kheton ke darmiyan se ho kar guzarti hui ek kahkashan jaisi pagdandi sar-nigun darakhton ke aadab qubul karti hui lekin nahin kuchh bhi nahin main to abhi tak is chhoti si poshida aarzu ka amin hun