aur dekho ye wo shakhs hai jo azal se yunhi chal raha hai yunhi jagte mein bhi chalta hai sote mein bhi is ke ek hath mein qurs-e-mahtab hai dusre hath mein kurra-e-arz hai panw talwar ki dhaar par hain aur dekho ki asmat mein bhid hai ye wahi log hain jo nahin jaante hain ki wo kuchh nahin jaante aur dekho ki wo shakhs jo nekiyon aur gunahon ke misqal uthae hue chal raha hai wo ye jaanta hai ki is bhid mein kuchh khule log hain kuchh chhupe log hain wo kisi lamhe us shakhs par apni jalti hui mutthiyan phenk denge wo dhamake chhupae hue mutthiyon mein khade hain aur dekho agar kurra-e-arz aur qurs-e-mahtab ko rakkhen mizan mein ek jaanib udhar un dhamakon ko rakkhen to donon barabar hi niklenge lekin ye insaf kaise ho? andha to mizan usi waqt uthaega jab ki wo shakhs pul se salamat guzar jae andhe ne kab se munadi yahi kar rakhi hai lathi se anjaan ko bhi muafi nahin mil sakegi aur dekho ki wo log jo jaante hain ki wo jaante hain rassiyan un ki lambi hain wo is liye to andhe hi ko bakhshte hain na lathi ko un ke dilon par samaat basarat pe mohren lagi hain aur dekho ki ye pul bhi kaisa hai khala us ke upar hai niche andhera hai donon sire us ke zulmat mein hain wo jo kahte hain zulmat ke niche murdon ki ek saltanat hai kya wo ye nahin jaante hain ki murdon ki wo saltanat kis jagah hai kya wo ye nahin jate hain ki wo shakhs wo khud hain un ko jata do adam ka khala aur murdon ki saltanat to yahin hai tumhaari khuli aur chhupi mutthiyon mein!