ayaz chup hai sada-e-mahmud harb-e-taza ki tez-tar rau mein bah gai hai ayaz chup hai ayaz chup hai ki ab asiran-e-shab bhi khwabida aks le kar thaki thaki khwahishon ke sinon pe so gae hain wo din ki jis din jale hue taqchon pe harfon ki be-kafan lash dafn hogi wo din calender ki sabz tah se sarak gaya hai ayaz chup hai luti hui bastiyon mein tarikh ka padaw safon mein tartib dhundhta hai lahu ki hiddat mein munqasim subh kam-nasiban ka garm suraj hazar-ha girhen kholta hai to shahr-e-kohsar ke jilau mein qadim shahrah puchhti hai ayaz chup hai ki bolta hai ayaz chup hai sada-e-mahmud harb-e-taza ki tez-tar rau mein bah gai hai