kanton ki chattan pe khadi main aankhon ki suiyan nikal rahi hun ye ilaqa kis saltanat mein shamil hai mulukiyat meri zaban pe kante halq mein phanda aankhen bahar shah-balut ke lambe darakhton jaise lambe put bahut ho gae hain jangal mein darakht ziyaada ho jaen to aag laga kar darakht kam kar diye jate hain bahar nikli hui aankh se zafran ka khet aur kate hue bazuon se ganne ki poriyan ban gai hain hum ne ek jhut bola tha na ab sari umr us ko sach sabit karne mein guzar denge hum ki jo zindagi bhar apne hisse ki roti kamane ki koshish karte hain aur bhuke rahte hain jhuti aas ki chhatri tale bulbule jaise aansu batashon ki tarah thaal mein sajae kab tak batlati rahogi ki wo tumhaara qatil nahin hai qatl mahz saniye mein zindagi ka rishta khatm karne ka nam nahin maujud se inkar bhi to qatl ke mutaradif hota hai mera ji karta hai wo jo sab mere qatil hain main unhen hawa ki tarah nigal jaun