ungliyon mein dabi hui cigarette ka ek aur kash lene se pahle main ne balcony mein jhanka wo ab bhi nahin aaya tha kamre mein chand saat ke liye be-his-o-harakat khada rahna ajib sa laga aur tab main ne sulagti hui cigarette ko jis ke abhi kai aur kash liye ja sakte the chhoti si gol mez par buri tarah se masal dala dayan hath tezi se ghuma aur kanch ka khubsurat gilas mez se uchhal kar farsh par gira aur chakna-chur ho gaya aur us se pahle ki main nokili kirchiyon ko chunne ki cheshta mein apne bojhal sharir ko kursi se uthata wo achanak darwaza khol kar kamre mein hazir ho gaya pashemani ke qatre meri jabin par saf jhalak uthe the lekin mujhe mahsus hua ki main unhen rumal mein jazb kar lene ki jurat bhi kho chuka tha