nazmon ki kitab mein logon ko us ki aakhiri khwahish mili us ne likha tha meri aankhen us gulu-kar ko de dena jo apne maddah aur rang dekhna chahta ho aur mera dil is mujassama-saz ke liye hai jo apna dil kisi mujassame mein rakh ke bhul gaya ho mere hath us mallah ki amanat hain jis ke hath un dinon kat diye gae the jab kashtiyan jala di gain aur dariya par karana sab se bada jurm tha us ne kuchh logon ko dusre kinare tak pahuncha diya wapsi pe sarkari karinde us ke muntazir the wo apne hathon ke bare mein kuchh nahin batata magar main un logon mein shamil tha jo us ki kashti mein dusre kinare tak gae the aankhen dil aur hath kisi bhi shakhs ko zinda rakh sakte hain aur mar sakte hain