tum meri zindagi mein aai ho mera ek panw jab rikab mein hai dil ki dhadkan hai dubne ke qarib sans har lahza pech-o-tab mein hai tutte be-kharosh taron ki aakhiri kapkapi raubab mein hai koi manzil na jada-e-manzil rasta gum kisi sarab mein hai tum ko chaha kiya khayalon mein tum ko paya bhi jaise khwab mein hai tum meri zindagi mein aai ho mera ek panw jab rikab mein hai main sochta tha ki tum aaogi tumhein pa kar main is jahan ke dukh-dard bhul jaunga gale mein dal ke banhen jo jhul jaogi main aasman ke tare bhi tod launga tum ek bel ki manind badhti jaogi na chhu sakengi hawadis ki aandhiyan tum ko main apni jaan pe sau aafaten utha lunga chhupa ke rakkhunga banhon ke darmiyan tum ko magar main aaj bahut dur jaane wala hun bas aur chand nafas ko tumhaare pas hun main tumhein jo pa ke khushi hai tum us khushi pe na jao tumhein ye ilm nahin kis qadar udas hun main kya tum ko khabar is duniya ki kya tum ko pata is duniya ka masum dilon ko dukh dena shewa hai is duniya ka gham apna nahin gham is ka hai kal jaane tumhaara kya hoga parwan chadhogi tum kaise jine ka sahaara kya hoga aao ki tarasti banhon mein ek bar to tum ko bhar lun main kal tum jo badi ho jaogi jab tum ko shuur aa jaega kitne hi sawalon ka dhaara ehsas se takra jaega sochogi ki duniya tabqon mein taqsim hai kyun ye pher hai kya insan ka insan bairi hai ye zulm hai kya andher hai kya ye nasl hai kya ye zat hai kya ye nafrat ki talim hai kyun daulat to bahut hai mulkon mein daulat ki magar taqsim hai kyun tarikh bataegi tum ko insan se kahan par bhul hui sarmae ke hathon logon ki kis tarah mohabbat dhul hui sadiyon se barabar mehnat-kash haalat se ladte aae hain chhai hai jo ab tak dharti par us raat se ladte aae hain duniya se abhi tak mit na saka par raj ijara-dari ka ghurbat hai wahi aflas wahi rona hai wahi bekari ka mehnat ki abhi tak qadr nahin mehnat ka abhi tak mol nahin dhunde nahin miltin wo aankhen jo aankhen ho kashkol nahin socha tha ki kal is dharti par ek rang naya chha jaega insan hazar barson ki mehnat ka samar pa jaega jine ka barabar haq sab ko jab milta wo pal aa na saka jis kal ki khatir jite-ji marte rahe wo kal aa na saka lekin ye ladai khatm nahin ye jang na hogi band kabhi sau zakhm bhi kha kar maidan se hatte nahin jurat-mand kabhi wo waqt kabhi to aaega jab dil ke chaman lahraenge mar jaun to kya marne se mere ye khwab nahin mar jaenge ye khwab hi meri daulat hain ye khwab tumhein de jaunga is dahr mein jine marne ke aadab tumhein de jaunga mumkin hai ki ye duniya ki rawish pal bhar ko tumhaara sath na de kanton hi ka tohfa nazr kare phulon ki koi saughat na de mumkin hai tumhaare raste mein har zulm-o-sitam diwar bane sine mein dahakte shoale hon har sans koi aazar bane aise mein na khul kar rah jaana ashkon se na aanchal bhar lena gham aap badi ek taqat hai ye taqat bas mein kar lena ho azm to lau de uthta hai har zakhm sulagte sine ka jo apna haq khud chhin sake milta hai use haq jine ka lekin ye hamesha yaad rahe ek fard ki taqat kuchh bhi nahin jo bhi ho akele insan se duniya ki baghawat kuchh bhi nahin tanha jo kisi ko paenge taqat ke shikanje jakdenge sau hath uthenge jab mil kar duniya ka gareban pakdenge insan wahi hai tabinda us raaz se jis ka sina hai auron ke liye to jina hi khud apne liye bhi jina hai jine ki har tarah se tamanna hasin hai har shar ke bawajud ye duniya hasin hai dariya ki tund badh bhayanak sahi magar tufan se khelta hua tinka hasin hai sahra ka har sukut daraata rahe to kya jangal ko katta hua rasta hasin hai dil ko hilae lakh ghataon ki ghan-garaj mitti pe jo gira hai wo qatra hasin hai dahshat dila rahi hain chatanen to kya hua patthar mein jo sanam hai wo kitna hasin hai raaton ki tirgi hai jo pur-haul gham nahin subhon ka jhankta hua chehra hasin hai hon lakh kohsar bhi hael to kya hua pal pal chamak raha hai jo tesha hasin hai lakhon saubaton ka agar samna bhi ho har johd har amal ka taqaza hasin hai chaman se chand hi kante main chun saka lekin badi hai baat jo tum rang-e-gul nikhaar sako ye dur daur-e-jahan kash tum ko ras aae tum is zamin ko kuchh aur bhi sanwar sako amal tumhaara ye taufiq de sake tum ko ki zindagi ka har ek qarz tum utar sako safar hayat ka aasan ho hi jata hai agar ho dil ko sahaara kisi ki chahat ka wo pyar jis mein na ho aql o dil ki yak-jehti kisi tariq se jazba nahin mohabbat ka hazaron sal mein tahzib-e-jism nikhri hai baja ki jins taqaza hai ek fitrat ka tumhein kal apne sharik-e-safar ko chunna hai wo jis se tum ko mohabbat mile rifaqat bhi hazar ek hon do zehn mukhtalif honge ye baat talkh hai lekin hai ain-fitrat bhi bahut hasin hai zehni mufahamat lekin badi azim hai aadarsh ki hifazat bhi kabhi ye gul bhi nazar ko fareb dete hain har ek phul mein tamiz-e-rang-o-bu rakhna khayal jis ka guzar-gah-e-sad-bahaaran hai har ek qadam usi manzil ki aarzu rakhna koi bhi farz ho khwahish se phir bhi bartar hai tamam umr faraez ki aabru rakhna tum ek aise gharane ki laj ho jis ne har ek daur ko tahzib o aagahi di hai tamam mantiq o hikmat tamam ilm o adab charagh ban ke zamane ko raushni di hai jila-watan hue aazadi-e-watan ke liye mare to aise ki auron ko zindagi di hai gham-e-hayat se ladte guzar di main ne magar ye gham hai tumhein kuchh khushi na de paya wo pyar jis se ladakpan ke din mahak utthen wo pyar bhi main tumhein do ghadi na de paya main jaanta hun ki haalat sazgar na the magar main khud ko tasalli kabhi na de paya ye meri nazm mera pyar hai tumhaare liye ye sher tum ko meri ruh ka pata denge yahi tumhein mere azm o amal ki denge khabar yahi tumhein meri majburiyan bata denge kabhi jo gham ke andhere mein dagmagaogi tumhaari rah mein kitne diye jala denge ab mere pas aur waqt nahin sans har lahza iztirab mein hai larzan larzan koi dhundlaka sa dubte zard aaftab mein hai maut ko kis liye hijab kahen kis ko malum kya hijab mein hai jism-o-jaan ka ye aarzi rishta kitna milta hua hubab mein hai aaj jo hai wo kal nahin hoga aadmi kaun se hisab mein hai khud zamane badalte rahte hain zindagi sirf inqalab mein hai aao aankhon mein dal do aankhen ruh ab naza ke azab mein hai thartharaata hua tumhaara aks kab se is dida-e-pur-ab mein hai raushni der se aankhon ki bujhi jati hai thik se kuchh bhi dikhai nahin deta mujh ko ek chehra mere chehre pe jhuka aata hai kaun hai ye bhi sujhai nahin deta mujh ko sirf sannate ki aawaz chali aati hai aur to kuchh bhi sunai nahin deta mujh ko aao us chand se mathe ko zara chum to lun phir na hoga tumhein ye pyar nasib aa jao aakhiri lamha hai sine pe mere sar rakh do dil ki haalat hui jati hai ajib aa jao na aizza na ahibba na khuda hai na rasul koi is waqt nahin mere qarib aa jao tum to qarib aa jao!