rafaqaton ke tawil raste pe chalte chalte bahut hi ukta gaya tha jaanan to ye bhi achchha hua ki ek din wo mod aaya ki jis ki pagdandiyan juda thin bas ek ishaara thi wo hi saat wahi to lamha tha faisle ka wo hath ab hum ko chhodna the ki jin ko thame bahut dinon se rafaqaton ke safar mein donon hi ham-qadam the to phir wo lamha bhi aa gaya jab baghair tamhid-e-hijr koi bichhad gae hum alag dishaon ka qasd bandhe