zaman makan ke hazar hangame qalb-e-khasta ko is tarah dher kar gae hain ki jaise ek khushk khushk patte ki kapkapati hui ragon se chipak rahi ho tamam mahaul ke manazir ki mandgi bhi har ek jhonke ki khastagi bhi ye khushk patta hawa ke mabhut daeron mein zamin se sar patak ke apni tamam rangat badal chuka hai ab ek patthar ke yakh-zada aur siyah sine pe aa ke behosh ho gaya hai main qalb-e-khasta ko le ke sangin daur ke farsh par pada hun magar yakayak kuchh aise chaunkaya qalb-e-khasta ko ek khwab-e-hasin ne aa kar ki jaise barish ka pahla qatra kuchh itni shiddat se khushk patte pe aa gire us ko tod dale