ganw mein eid phira karti thi galiyan galiyan aur is shahar mein thak kar yunhi so jati hai pahle hansti thi hansati thi khelati thi mujhe ab to wo pas bhi aati hai to ro jati hai kitni mastana si thi eid mere bachpan ki ab khayalon mein bhi lata hun to kho jati hai hum kabhi eid manate the manane ki tarah ab to bas waqt guzarta hai to ho jati hai hum bade hote gae eid ka bachpan na gaya ye to bachchon ki hai bachchon hi ki ho jati hai