biwi mujh se kahti hai sara din lete rahne aur nazmen likhne se ghar kaise chalega nazmen rotiyan to nahin ki bachchon ka pet bhar saken tum to apna pet shaeri ki talwar se kat kar mustaqbil ki khunti se latka chuke ho lekin hamare pet itne shairana nahin sochta hun biwi thik kahti hai nazmen to ghaib se utar aati hain lekin rotiyan ghaib ke tannur mein nahin paktin waise bhi shaeri ko zinda rakhne ke liye pet par roti bhandhni zaruri hai lekin main use darkhwast karunga wo mujhe ek nazm aur likh lene de aakhiri nazm jis mein aane wali kal ke liye koi tarif nahin hogi jis mein guzar jaane wali kal ke liye koi pachhtawa nahin hoga jis mein aaj ke kisi dukh ka matam nahin hoga har lihaz se mukammal nazm