raat aai hai bahut raaton ke baad aai hai der se dur se aai hai magar aai hai marmarin subh ke hathon mein chhalakta hua jam aaega raat tutegi ujalon ka payam aaega aaj ki raat na ja zindagi lutf bhi hai zindagi aazar bhi hai saz-o-ahang bhi zanjir ki jhankar bhi hai zindagi did bhi hai hasrat-e-didar bhi hai zahr bhi aab-e-hayat-e-lab-o-rukhsar bhi hai zindagi khar bhi hai zindagi dar bhi hai aaj ki raat na ja aaj ki raat bahut raaton ke baad aai hai kitni farkhanda hai shab kitni mubarak hai sahar waqf hai mere liye teri mohabbat ki nazar aaj ki raat na ja