shayad meri zamin apne safar ke aakhiri padaw se aage nikal chuki hai manzil par jalte hue falak-bos alaw ki hiddat kuchh itni tez hai ki darakhton ke jadon se le kar shakhon ke saron par aane wala baur tak pasine aur garmi se hanp raha hai waqt ki kathali mein ubalte hue haalat ke sath ab ke kisi aql-mand ne hawa ke hath par rakkhe hue tamam mausam bhi utha kar dal diye hain mujhe yaad hai ki shuur ki pahli sidhiyon par panw rakhte hi kis asbiyyati lamhe ne mere kanon mein sargoshi ki thi ki tum apne bap ki paidaish se bhi bahut pahle girwi rakh diye gae the main us din se le kar aaj tak bahi-khaton ke qarz wale khane se nahin nikal saka aur mere hathon mein itni be-ikhtiyari bhar di gai hai ki mere ghar ke darwaze ki chabiyan har roz phisalti hui meri ungli ki aakhiri por par aa jati hain aur main dahshatnak aankhon se khala mein dekhne lagta hun ki jaise dur ghulami ke siyah manzar aadhe se zyaada darsi kitabon se bahar nikal aae hain khauf ke lambe nakhunon ne khak-zadon ke badan ki mitti aise khurach di hai jaise makanon ki diwaron ka kachcha rang tez barishon mein utar kar naliyon mein bah jata hai gharon mohallon aur sadkon par nadida diwaren itni unchi utha di gai hain ki hum ikatthe rahte hue ek sath chalte hue bhi ek dusre ko dekh nahin sakte aur kya kahun ki is sal dekhne sunne aur bolne par bhi namkin laga diya gaya jaise hum sab apne apne badan mein tanha kar ke mar diye jaenge wo ahd zyaada dur nahin jab hamein koi nasl mohanjoddo aur hadappa ki tarah daryaft karegi soch raha hun ki hamein kitne fit gahra khod kar nikala jaega aur phir museum mein rakhi hui shishe ki almariyon mein purani haddiyon ke niche ye tahrir jab koi sayyah rakh kar padhega ki ye is daur ka insan tha jab taraqqi apne nuqta uruj se bhi aage thi magar talim-yafta is maashre ke log ghaaron mein rahne walon se zyaada tahzib-yafta the ye ek shaer tha jo ehsas ki qabr mein apni maut se pahle dafn kar diya gaya