nai tahzib ke shahkar-e-azim! teri pur-kaif o tarab-khez fazaon ko salam! kitne nau-khez o hasin jism yahan chaaron taraf raqs mein mahw hain uryani ki taswir bane apni ranai o zebai ki tashhir bane saz-e-pur-josh ki sangat mein thirakte jode farsh-e-marmar pe phisalte hain bahak jate hain daudti jati hai rag rag mein sharab-e-gulfam nai tahzib ke shahkar-e-azim! teri pur-kaif o tarab-khez fazaon ko salam! un ki aankhon se chhalakti hai hawas ki masti un ke sinon mein farozan hain wo jinsi shoale jin ki ek ek lapat se hai bhasam sharm-o-haya qahqahe, saz ki tanon mein dhale jate hain lams ki aag mein sab jism jale jate hain aankh ke doron mein poshida hain mubham se payam nai tahzib ke shahkar-e-azim! teri pur-kaif o tarab-khez fazaon ko salam dhadkanen tez huin shauq ki lai badhne lagi jism par tangi-e-malbus zara aur badhi aankh mein nashshe ki ek lahr zara aur chadhi larzish-e-pa se jhalakne lagi dil ki laghzish! dafatan jaz ki pur-josh sada band hui raushni dub gai phail gai zulmat-e-shab jism se jism ki qurbat jo bujhane lagi aag dopahar dhal gai jazbaat ki hone lagi sham nai tahzib ke shahkar-e-azim! teri pur-kaif o tarab-khez fazaon ko salam jal gaya sina-e-sozan mein hi insan ka zamir ruh ki chikh fazaon mein kahin dub gai rukh-e-tahzib pasine mein sharabor hua ilm hai sar-ba-gareban o adab mohr-ba-lab kis se is daur-e-jarahat mein ho marham ki talab mulk-e-tahzib mein changez hai phir khun-asham nai tahzib ke shahkar-e-azim! teri pur-kaif o tarab-khez fazaon ko salam