agar sang-dil hai zamana to kya hai agar aisi das shadiyan bhi mere jism ko qaid kar len to kya hai mera zehn jab bhi tumhaare fasanon mein khoya rahega ki dil ki rawish par bhala kis ka pahra raha hai ab is bar jab do sulagte badan aakhiri bar mil kar juda ho rahe hain ye wada karo un ki ruhen yunhi roz milti rahengi tumhaare labon par mera nam ab bhi machalta rahega jo tumhaare liye tiktiki bandh kar dhyan ki suni rahon pe bechain baithi rahi hain magar han zara dekhna ab wo chunki hamare tumhaare ba-zahir rawabit to afsos sab munqata ho chuke is liye doston mein mere zikr se ab gurezan se rahna mere jitne khat hain khudara unhen aag mein dal dena koi mere bare mein puchhe to hairat se kahna tajjub hai ab tak kisi aisi ladki se milna to kya main to ye nam hi aaj pahle-pahal aap se sun raha hun