gai ruton ke udas lamhon qarib aao qarib aao utar ke meri ujad aankhon mein ashk aasa tapakte jao mere badan ki purani pagdandiyon pe chalte kisi musafir ki purani pagdandiyon pe chalte kisi musafir ki tez-qadmi se reza reza bikharte patto ye yaad rakhna ki ab abad tak tumhaare bimar zard chehron pe paemali ki be-nishan mohr lag chuki hai hawae sarma ki chira-dasti se be-niyaz-o-be-libas shakho main jaanta hun ki tum ko aati ruton ki khatir hare libaadon ki justuju hai nae naginon ki aarzu hai magar abhi to uqab jaisi khizan ke panje lahu mein ghaltan badan zamin mein gade hue hain abhi shagufon ki ghantiyon ki sadaen kanon ko na-rasa hain kahan ho tum meri khwahishon ke be-baal-o-par be-gunah farishto qarib aao qarib aao qarib itna ki meri sansen tumhaare ujle farakh hathon pe nam ka ek jal sa bichha den khud apni aankhon se dekh jao ki kab se mere labon pe khamoshiyon ke jale tane hue hain main kab se phailae hath apne bhikariyon ki tarah khada hun mere liye ye judaiyon ke azab chakhne ka pahla din hai tulua hote hue andhero ghurub hote hue sawero bas aaj sab mujh se munh na phero