zamin ki ye qaus jis pe tu muztarib khadi hai ye rasta jis pe main tere intizar mein hun zamin ki us qaus par ufuq par qatar andar qatar lamhat ke parinde hamare hisse ke sabz patte sunahri minqar mein liye jagti khalaon mein ud rahe hain zamin ki us qaus par ufuq par hai na-basar-karda zindagi ki wo fasl jis ka hamein har ek ped katna hai ye chand jis par qadam hai tera ye shahd jis par zaban hai meri ye sabz lamhe ye kirmak-e-shab usi gulistan ke mausam-e-abr ke samar hain jahan hawaon ke tez tufan muntazir hain ki aakhiri ped kab girega